Friday, December 5, 2008
AATANKWAAD(Terrorism)
main aaj aatankwaad k vishaye main vichardhara ki baat karoonga.aaj har vyaakti atankwaad ki ninda kar raha hai lekin kya ye paryapt hai aatankwaad se ladne k liye?aaj bharat jaagrat ho raha hai aatankwaad se ladai k liye.aaj har vyakti me aakrosh hai rajnitigyon k prati,unki karyapranali k prati, unki vote ki rajneeti k liye.ye sandesh ho sakta hai aatankwaad k prati nirnayak jan abhiyaan ka.Mumbai me jan aakrosh parichayak hai aatankwaad k khilaf nirnayak ladai ka.atankwaad k khatme k liye sabse pahle uss vichardhara k ant karna hoga jo sandesh deti hai ki aatankwaad jehaad hai,ye aatankwaadi alaah ke naik bande hain.koi bhi dharm jansanghar ki anumati nahi deta.aaj jarrorat hai aatankwaad k prati ekjut hone ki .inke aakaoon se ye poochne ki agar ye jehaad hai to sabse pahle wo swayam aage kyun nhai aate.gareeb ,bebas logon ka sahara kyun lete hain?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment