Friday, December 5, 2008
yadi mumbai blast 9/11 hai bharat(India) ka!
Mumbai par 26 November 2008 ko bharat ka 9/11 kaha ja raha hai lekin mera manna hai ki bharat k past main bahut si aisi ghatnain hain jinki tulna 9/11(America) se ki ja saktai hai.America ki kori safed chadar par keval ek 9/11 ka khoni daag hai lekin bharat ki to poori chadar hi khoon se laal ho chuki hai.pichle kai saloon main kai aatankwaadi ghatnain hui hain jinmain hajaroon log bina kisi kasoor k mare gai hain.ye aatankwaad ka bhayaanak manjar pichle kuch saloon main kai baar dekha hai bharat ne.aab samaye hai nirnayak ladai ka aatankwaad k viroodh jaisa ki America ne kiya tha 9/11 k baad.kya bharat me hone wala hamla manawata ke liye kam khatra hai apekshakrat America main hone wale hamle k?yadi aisa nahi hai to waisa hi mandand apnana hoga aaj bharat ko aur sabhi deshon ko nispaksh hoke bharat ka saath dena hoga iss nirnayak ladai main?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment